Thursday, March 7, 2024

Dhundhli Yaadein

 Roz apne din charya mein

itne uljhe rehte hai ki bhul jate hai kitni sari cheezen

par aaj k din 

aapka bina aapka 5th birthday

kaise mana le

shiv ratri ki dhoom rehti hai

par mann mein khalipan 

kabhi kabhi dar lagta hai

ki kya bhul jaungi 

aapka sparsh

aapki awaz 

ya aapka presence 

thode saalon ke baad !!


Bar bar wahi photo video 

dekhti hu .

Sochti hu 

kaisa lagta tha aapse gale lagna

Papa jab neend na aaye to kaise aap apna haath  sir par 

firate the aap

kahani , kisse sunate the

Bahut saare bhul gayi hu ab

Is liye dar lagta hai wo dhudhli yaadein aise hi gayab na ho jaye


Ab kabhi bhi woh lamha main jee  nahipaungi

kaise hum philosophical baatein karte the

jab walk pe jaate the

ab kis se karu yeh sab share

darr lagta hai sari yaadein

dhudhli si ho rahi hai

kahi fisal na jaye


Chahiti hu aapki awaaz sunu dubara

jab aap humara naam pukare

fir chahe daantne k liye hi kyu na ho

kehte hai samay sab thik kar deta hai

yaha kuch thik nahi ho raha 

abhi bhi aapki kami utni hi khalti hai jitni us din thi

aaj bhi ek kahlipan hai humari zindagi mein

aaj bhi aansu behte hai aapki yaad mein papa

Bus aapki awawz and sparsh ki anubhuti na dhudhla jaye is vyastha zindagi mein

Darr lagta hai